Thursday, 28 July 2011
Ab K taJDEED E WAFA
Ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkan jaana
Yaad kya tujh ko dilaayein tera paiman jaana
Yon hi mausam ki ada dekh k yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jaate hain insan jaana
Zindagi teri ata thi so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaana
Dil yeh kahta hai k shayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kya baat karein dil to hai nadan jaana
Awwal-awwal ki muhabbat k nashe yaad to kar
Be-piye bhi tera chehara tha gulistan jaana
Akhir akhir to yeh aalam hai ki ab hosh nahi
Rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jaana
Muddaton se yeh aalam na tawaqqo na umeed
Dil pukaare hi chala jaata hai jaana jaana.....
Hum bhi kya saada thay hum ne bhi samajh rakha tha
Gham-e-dauran se juda hai gham-e-jana jaana
Ab ki kuch aesi saji mahafil-e-yaran jaana
Sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jaana
Har koi apni hi aawaz se kaanp uth'ta hai
Har koi apne hi saaye se hirasan jaana
Jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai
Shehar ka shehar hua dakhil-e-zindan jaana
Ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aaye
Aur se aur hua dard ka unwan jaana
Hum ki ruthi hui rut ko bhi mana lete thay
Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaana
Hosh aaya to sabhi khawab thay reza-reza
Jaise uratay huay auraq-e-pareshan jaana
Saturday, 23 July 2011
Friday, 22 July 2011
Subscribe to:
Posts (Atom)